us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya dekho ye mere khwab the dekho ye mere zakhm hain main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas kabk-e-dari ki chaal mein tera khiram rakh diya jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya
Please share if you liked this!!!