uth ja ki ab ye mauqa hathon se ja rahega ye karwan hai aakhir kab tak ruka rahega zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha hun ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega yun to bahut hai mushkil band-e-qaba ka khulna lekin khula to phir ye uqda khula rahega sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke is aag se ye jangal kab tak bacha rahega khulti nahin hai yarab kyun nind raftagan ki kya hashr tak ye aalam soya pada rahega waqt-e-zawal hai hum khilwad dekhte hain uthiye ki ye tamasha yun hi laga rahega yaksar hamare bazu shal ho rahe hain yarab aakhir daraaz kab tak dast-e-dua rahega