uth ke baitha bhi nahin tha abhi bimari se wasta aan pada be-dar-o-diwari se warna kuchh bhi nahin maujud ka manzar-nama aalam-e-khwab bhi hai aalam-e-bedari se shahr ke log ghalat mujh ko samajhne lag jaen meri takzib kare aisi adakari se shahr mein aur bhi hangame hain barpa kya kya kyon nikalta hi nahin main teri bimari se us ki duniya se bahut dur nikal jao 'hanif' is se pahle ki wo dekhe tumhein be-zari se