uthte hue tufan ka manzar nahin dekha dekho mujhe gar tum ne samundar nahin dekha guzra hua lamha tha ki bahta hua dariya phir meri taraf us ne palat kar nahin dekha ek dasht mila kucha-e-jaanan se nikal kar hum ne to kabhi ishq ko be-ghar nahin dekha the sang to betab bahut naqsh-gari ko hum ne hi unhen aankh utha kar nahin dekha ek umr se hai jo meri wahshat ka thikana khushiyon ki tarah tu ne bhi wo ghar nahin dekha nafrat bhi usi se hai parastish bhi usi ki is dil sa koi hum ne to kafar nahin dekha khwahish ko yahan hasb-e-zarurat nahin paya hasil ko yahan hasab-e-muqaddar nahin dekha har haal mein dekha hai use zabt ka paikar 'tishna' ko kabhi zarf se bahar nahin dekha