viran hai tamannaon ka manzar tere hote

viran hai tamannaon ka manzar tere hote
kya haal hai dil ka mere dilbar tere hote

ek chashm-e-karam shahr-e-ghariban pe idhar bhi
pyasa hai nagar ek samundar tere hote

kuchh tujh ko khabar hai mere dam-saz masiha
phirta hun rah-e-zist mein dar dar tere hote

kya tujh ko gawara hai tera banda-e-majbur
aghyar ki chaukhat pe rakhe sar tere hote

ai gardish-e-mina-e-shab-o-roz bata kuchh
kyon shahr mein hain itne gadagar tere hote

ek ye bhi hai andaz tere husn-e-karam ka
hun rah ke watan mein bhi musafir tere hote

hai kunj-e-qafas mein ye tera haal gham-e-dil
kya hashr uthata jo kabhi par tere hote

qatil bhi hai tu aur masiha bhi mera tu
kya rang karun dil ka fusun-gar tere hote

ek marhala-e-marg abhi aur hai baqi
ye kaam bhi ho jae sitamgar tere hote

ai 'shaikh' tere fikr ki ye shoala-bayani
manind-e-guhar-ha-e-sukhnawar tere hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close