wafa ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai khuda rakkhe khudi ke bankpan ki aazmaish hai ba-tarz-e-nau sajai ja rahi hai bazm-e-parwezi ba-andaz-e-digar phir kohkan ki aazmaish hai lab-e-ju saqiya yun hi musalsal daur-e-paimana ki zor-e-gardish-e-charkh-e-kuhan ki aazmaish hai khizan ka zikr kya wo daur tha na-saz-gari ka bahaar aai hai ab ahl-e-chaman ki aazmaish hai meri diwangi ka imtihan ek baat hai warna haqiqat mein tere dar-o-rasan ki aazmaish hai tawaf-e-kirmak-e-nadan ka chakkar khatm hai 'asif' bas ab zarf-e-charagh-e-anjuman ki aazmaish hai