wafa ke nam pe zahrab ek aur sahi

wafa ke nam pe zahrab ek aur sahi
bikhar gae hain kai khwab ek aur sahi

bujhe bujhe kai manzar hain dida-e-tar mein
ye dubta hua mahtab ek aur sahi

jala ke ek diya hum ne aur dekh liya
dhuan dhuan si ye mehrab ek aur sahi

lagi hai bhid safina dubone walon ki
tamasha koi sar-e-ab ek aur sahi

tumhaare ba'd har ek shai khafa hi thi hum se
ye be-niyazi-e-ahbab ek aur sahi

takallufat se bhi log kaam lete hain
khafa jo hai use aadab ek aur sahi

kabhi to aaega us ko 'rauf' apna khayal
shikayat-e-dil-e-be-tab ek aur sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close