wafa ki laj hun main pyar ka samundar hun ye tujh se kis ne kaha raste ka patthar hun dilon pe jin ke shujaat ka naqsh hai meri wo e'tiraf karenge ki mein sikandar hun bahaar dhundhti phirti hai jis ko aalam mein ahaaliyan-e-chaman main wahi to manzar hun pada hua hun abhi pattharon ke beach magar mujhe bhi dekh zamane ki main bhi gauhar hun wo aaj dhund raha hai idhar udhar mujh ko use khabar hi nahin main zamin ke andar hun ye gham to 'soz' ka daman pakad ke kahta hai tu mujh se dur na ja main tera muqaddar hun