wafa ne jhum ke jab tere git gae hain qadam ufuq pe andheron ke ladkhadae hain tere qarib pahunch kar bhi kam nahin hote gham-e-hayat ne jo fasle badhae hain bahut tawil sahi rah-e-justuju lekin bahut hasin tere gesuon ke sae hain teri nigah mudawa na ban saki jin ka teri talash mein aise bhi zakhm khae hain pada hai aks jo rukhsar-e-shola-e-mai ka to aaine teri yaadon ke jagmagae hain musafiran-e-shab-e-gham ki rah mein 'jami' nae charagh meri fikr ne jalae hain