wafa se pasheman jafa ho rahi hai

wafa se pasheman jafa ho rahi hai
mohabbat ki qimat ada ho rahi hai

dawa ho rahi hai dua ho rahi hai
magar dil ki uljhan siwa ho rahi hai

duboi hai jis ne abhi dil ki kashti
wahi aas phir nakhuda ho rahi hai

gulon mein bhi hai rang beganagi ka
ajab is chaman ki hawa ho rahi hai

nigahon se parde hate ja rahe hain
khudi ki khudai fana ho rahi hai

talab par bhi husn-e-talab ki hai koshish
nazar kuchh mizaj-ashna ho rahi hai

mere dard ki ibtida karne wale
tere zulm ki intiha ho rahi hai

teri rah mein mitne walon ki qismat
fana ko bhi hasil baqa ho rahi hai

sitam ko sitam 'jurm' hargiz na kahte
agar ye samajhte khata ho rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close