wahi ho ilm bhi wo hi suKHan to baat bane

wahi ho ilm bhi wo hi sukhan to baat bane
ghazal ka bhi wahi ho pairahan to baat bane

faqat hai ek pareshan to phir ye ishq nahin
jabin pe donon ki aae shikan to baat bane

hamari ruh ko phir bhi badan mila hai magar
badan ko bhi mile koi badan to baat bane

hum us ki aankhon se iqrar tak pahunch gae hain
zara sa padhne ko mil jae man to baat bane

bhatakte rahne se is dil ke haq mein kya hoga
kisi ke ishq mein ho ja magan to baat bane

main tere khwab ko pahne hue hun aankhon mein
tu meri aankh mein ninden pahan to baat bane

agarche jism ko thodi thakan si hai lekin
hamari aankhon pe chhae thakan to baat bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close