wahi khwabida khamoshi wahi tarik tanhai tumhein pa kar bhi koi khas tabdili nahin aai agar jaan se guzar jaun to main upar ubhar aaun ki lashon ko ugal deti hai dariyaon ki gahrai khada hai dasht-e-hasti mein agarche nakhl-e-jaan lekin gul-e-goyai baqi hai na koi barg-e-binai mohabbat mein bhi dil wale siyasat kar gae 'aslam' gale mein haar dale panw mein zanjir pahnai