wahi sahil wahi manjdhaar mujh ko banaya us ne khewan-haar mujh ko zaban ki dhaar se dekha mila kar lagi kuchh tez kam talwar mujh ko bitha rakkha mujhe sae mein jis ne girani thi wahi diwar mujh ko jinhen hai naz apne faslon par pakadne den zara raftar mujh ko kabhi hoti na phir ladne ki himmat mili ab tak na aisi haar mujh ko kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti bulaya hai samundar par mujh ko kabhi dubi na teri naw 'rahi' sikhaya tairna be-kar mujh ko