wahi the jo apni justuju mein khare nahin the wagarna hum un ki dastaras se pare nahin the tabhi wo samjhe ki hum khilaune nahin hain jab hum wahan se un ko mile jahan par dhare nahin the darakht phir se hara phalon se bhara hua hai magar wo patte bahaar mein jo hare nahin the us ek lamhe ka rang umron pe chha gaya hai wo ek lamha ki rang jis mein bhare nahin the ajab sa ek khwab dekh kar aankh khul gai hai hum apne marne pe roe lekin mare nahin the khud apne hone ke khauf mein ab jo mubtala hain khuda ke hone se bhi wo pahle dare nahin the ye kaisi kaya palat hai shah mat de rahe hain wo jin se shatranj ke piyaade mare nahin the hamein zamane ne kimiya-gar bana diya hai janam se hum log yun nahin the are nahin the