wahi udas si aankhen udas chehra hai ye lag raha hai ki pahle bhi tujh ko dekha hai main chahta hun ki teri taraf na dekhun main meri nazar ko magar tu ne bandh rakkha hai chhupa ke rakhta hun main khud ko har tarah lekin ye aaina mujhe hairat mein dal deta hai tumhaari baat pe kis ko yaqin aaega kisi se tum na ye kahna khuda ko dekha hai hazaron manzilen sar kar chuka hun main lekin ye khud se khud ka safar to bahut ajab sa hai tera wajud tere raste mein hail hai yahin se ho ke mera qafila guzarta hai main din ko shab se bhala kyun alag karun sani ye tirgi bhi to ek raushni ka hissa hai