wajh-e-taskin-e-junun wasl-e-nigaran bhi nahin ishq aasan hai magar is qadar aasan bhi nahin har tajalli ke liye zarf-e-nazar hai darkar jalwa arzan hai magar is qadar arzan bhi nahin jaane kya soch ke har rah mein ruk jata hun us se milne ka kisi mod pe imkan bhi nahin har nafas khinch raha hai koi rag rag se lahu aur nashtar koi paiwast-e-rag-e-jaan bhi nahin qafile hain ki guzarte hi chale jate hain manzilen hain ki kisi samt numayan bhi nahin gul ka kya zikr ki ai dost mere daman par ek muddat se kisi khar ka ehsan bhi nahin kaun samjhega mere zarf-e-junun ki wusat main pareshan hun mera haal pareshan bhi nahin tu ye ilzam mere zarf-e-junun par na tarash ishq kafir bhi nahin ishq musalman bhi nahin 'shor' utha dun main gul-o-lala ke parde lekin yan koi mahram-e-asrar-e-gulistan bhi nahin