wajibi baat kahin zara kahiye bari lagti hai sab ko kya kahiye mujh ko ek ye badi si hairat hai bure ko kis tarah bhala kahiye neki ka phal badi laga hone is zamane ka kya gila kahiye charkh-e-zalim ne sab ko dala pis is ko tahqiq aasiya kahiye aur hi ahwal dekhta hun main kis ke aage ye majra kahiye ja-ba-ja chhuten jhut ke shishe ye bhi yaron ka ishqala kahiye ammi kahte hain hum to hain fazil bewaqufon ka dar khula kahiye apni karte hain aap hi tarif un ke tain ko to chutiya kahiye be-shuuri pe bas-ki hain nazan kyun na ab un ko na saza kahiye shaikh-ji ne kiya hai aaj khizab is ko budhe ka chochala kahiye logon ke phodta phire shishe mohtasib ko to maskhara kahiye poch padar hua bake hai sukhan naseh ko khwah-makhwah sada kahiye apna sar phodta hai aap raqib shauq se is ko mud-jhada kahiye mare khandon ke mard-e-adam ko koi puchhe nahin hai kya kahiye dadhi mila ki go ki hai khu-gir par mahadew ki jata kahiye jin ki hurmat pe kuchh nahin hai nigah in ko pa-posh ka tala kahiye chhupte phirte hain waqt-e-jang-o-jadal buzdila un ko barmala kahiye khud-pasandi mein gharq hai aalam 'nayan' ko kis ko ab bura kahiye