wajud-e-khak se bahar nikal dega wo mujhe bhi apne sarape mein dhaal dega wo main jaanta hun mohabbat mein haarne ke baad sabhi ke samne meri misal dega wo shikoh-e-bakht pe masrur shakhs ko aakhir kisi faqir ke qadmon mein dal dega wo main us ke haq mein yahan aakhiri dua-go hun mujhe bhi apni safon se nikal dega wo koi to shakl hai maujud mujh mein bhi 'shahzad' main sang hun to mujhe khadd-o-khal dega wo