wan pahunch kar jo ghash aata pae-ham hai hum ko sad-rah aahang-e-zamin bos-e-qadam hai hum ko dil ko main aur mujhe dil mahw-e-wafa rakhta hai kis qadar zauq-e-giriftari-e-ham hai hum ko zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan tere kuche se kahan taqat-e-ram hai hum ko jaan kar kije taghaful ki kuchh ummid bhi ho ye nigah-e-ghalat-andaz to sam hai hum ko rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bang-e-hazin nala-e-murgh-e-sahar tegh-e-do-dam hai hum ko sar udane ke jo wade ko mukarrar chaha hans ke bole ki tere sar ki qasam hai hum ko dil ke khun karne ki kya wajh wa-lekin na-chaar pas-e-be-raunaqi-e-dida aham hai hum ko tum wo nazuk ki khamoshi ko fughan kahte ho hum wo aajiz ki taghaful bhi sitam hai hum ko lucknow aane ka bais nahin khulta yani hawas-e-sair-o-tamasha so wo kam hai hum ko maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shahr azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai hum ko liye jati hai kahin ek tawaqqo 'ghaalib' jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko abr rota hai ki bazm-e-tarab aamada karo barq hansti hai ki fursat koi dam hai hum ko