waqt be-rahm hai maqtal ki zaminon jaisa aur hamdard hai mukhlis ki duaon jaisa koi manzar nahin barsat ke mausam mein bhi us ki zulfon se phisalti hui dhupon jaisa aablon ki tarah rahne na diya ashkon ko meri palkon ne kiya kaam babulon jaisa sang-dil hai na farebi na jafakar hai wo mera mahbub hai masum farishton jaisa main to insan hun tum jaisa hun thahro logo mujh pe ilzam lagao na rasulon jaisa zehn se mahw hue guzra zamana 'akhtar' ek chehra hai magar ab bhi gulabon jaisa