waqt-e-akhir yaad hai saqi ki mehmani mujhe marte marte de diya angur ka pani mujhe wo meri surat to dekhen apni surat ke liye kash aaina bana de meri hairani mujhe kat gaya hai wasl se pahle zamana umr ka hae dhoka de gaya bahta hua pani mujhe daman-e-sahra se lunga mar ke wahshat mein kafan ek naya joda pinhaegi ye uryani mujhe mere gul ko la ya apne phul le ja andalib aise kanton se nahin fansen nikalwani mujhe tum agar chaho to mitti se abhi paida hon phul main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein main agar utrun to upar phenk de pani mujhe aisi mushkil tum ne dali hai ki jab mar jaunga muddaton roya karegi meri aasani mujhe tu ne itni di ki mai-khwari ki hasrat bah gai main ne itni pi ki aakhir ho gai pani mujhe rone jata hun main apni hasraton ke dher par be-kasi aa kar sikha de marsiya-khwani mujhe hashr mein chalna padega ek tedha rasta kucha-e-jaanan sikha de thokaren khani mujhe 'muztar' apne haq ke kante chun ke main rukhsat hua aur kya deti bahaar-e-gulshan-e-fani mujhe