waqt ke sath zindagi ka dukh mere sar par hai har khushi ka dukh apne zakhmon ko bhul jata hun dekh leta hun jab kisi ka dukh laila-e-har-sukhan pareshan hai jab qalam mein hai be-kasi ka dukh ham-safar ab nahin koi mera mera sathi hai ham-rahi ka dukh aaj mearaj ho gai meri aaj banta hai bandagi ka dukh zindagi sari bandagi meri mera sajda hai aadmi ka dukh tere shams-o-qamar mere kis kaam mere ghar mein hai tirgi ka dukh mar gaya apne waste farhad us ne kab sar liya kisi ka dukh kah rahi hai numud ki har lai band kaliyon mein hai nami ka dukh har talab se gurez-pa ek shakhs chatta hai rahi sahi ka dukh zindagi sari rog mein guzri tha ba-zahir jo ek ghadi ka dukh har koi us ka sath deta hai jo nahin bantta kisi ka dukh wo sharik-e-safar nahin hota main uthata hun dosti ka dukh yaad-e-yaran lahu rulaegi aur phir ek ajnabi ka dukh ghat gaya chand raushni maddham meri aankhon mein raushni ka dukh jaan par ban gai ki aalam par jaan lewa hai aagahi ka dukh