waraftagi ke sath muhaba bhi bahut hai

waraftagi ke sath muhaba bhi bahut hai
izhaar-e-talluq bhi hai ikhfa bhi bahut hai

jab nind ke surme ko taras jati hain aankhen
un raaton mein khwabon ki tamanna bhi bahut hai

wo ek waraq-e-sada jo saunp aae the tujh ko
us par teri nam aankhon ka imla bhi bahut hai

aankhon ke katore hon ya saghar hon labon ke
dil khush ho to mitti ka sakora bhi bahut hai

inkar se zahir hai ki samjhe to hain kuchh baat
jaana ki ye jaana to ye jaana bhi bahut hai

wo nukta jise kahne ka yara nahin dil ko
us ke liye tahrir ka parda bhi bahut hai

aawazon ke amboh mein ek lafz na paya
yun kahne ko khush-waqti mein paya bhi bahut hai

kuchh un ko tammul sa hai kuchh hum ko takalluf
ab ye bhi talluq hai to itna bhi bahut hai

jab shahr-e-tamanna mein dar-o-baam hon khamosh
ehsas ko tanhai ka sahra bhi bahut hai

ru-gardan hain ab wo bhi to kya shab na kategi
'tariq' tumhein to subh ka tara bhi bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close