watan ki aan bachane mein pesh-dasti rahi shubh mein phir bhi hamari watan-parasti rahi payam-e-amn ke naron ka shor tha barpa lagi thi aag jo basti mein wo dahakti rahi samundaron ka bulawa tha wo bhi kya karta guzarte abr ko pyasi zamin takti rahi hawa na jaane badan kis ka chhu ke aai thi gali hamari kai roz tak mahakti rahi yahi hai qadron ki 'imran' pasbani kya zamir marta gaya aur ana panapti rahi