wo ab numaish-e-sair-o-safar se bahar hai ye mere sath magar rahguzar se bahar hai wahi muqim hai jo apne ghar se bahar hai ki jitna saya hai sara shajar se bahar hai mere khuda ye tab-o-tab-e-safha kaisi hai jo likh raha hun wo kilk-e-hunar se bahar hai zamir-e-khak ko ab zahar hi likho yani ilaj us ka kaf-e-chaara-gar se bahar hai chalo namaz padhen aur qarib le aaen shajar dua ka hamari sahar se bahar hai asir hai meri khinchi hui lakiron ka ye wahm hai ki wo mere asar se bahar hai ye ijz hai ki qanaat hai kuchh nahin khulta bahut dinon se wo khair-o-khabar se bahar hai na jaane kya hai kisi chaak par thaharti nahin hamari khak gil-e-kuza-gar se bahar hai