wo alag chup hai KHud se sharma kar

wo alag chup hai khud se sharma kar
kya kiya main ne hath phaila kar

phal har ek dal par nahin hote
sang har dal par na phenka kar

taza rakhne ki koi surat soch
sukhe lab par zaban na phera kar

dasht-e-suraj mein kya mila hum ko
rah gaya rang apna sanwla kar

mit na jae kahin wajud tera
khud ko fursat mein chhu ke dekha kar

aaina ho chala hai suraj ab
hai yahi waqt sab ko andha kar

ek hon do kinare dariya ke
koi aisi sabil paida kar

kaise darwaze par qadam rakhkhun
koi leta hai panw phaila kar

suraten zehn se na mit jaen
bhule-bhatke idhar bhi nikla kar

sarsari taur par jo baat hui
us ne puchha usi ko dohra kar

thahre pani mein phenk kar patthar
apne sae ko tu na ruswa kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close