wo baat kare bhi to dil-azar kare hai

wo baat kare bhi to dil-azar kare hai
inkar kare hai na to iqrar kare hai

wo phir nae andaz se ek war kare hai
phir tir-e-nazar dil ko mere par kare hai

andaz-e-nazar us ka zamane se juda hai
dil muft mein lene se bhi inkar kare hai

jo ho na saka barq-e-tapan-khez se zalim
wo kaam teri garmi-e-guftar kare hai

main jag ke soya hi tha aakhir shab-e-furqat
kyon wade ki aahat mujhe bedar kare hai

phir kis ne sada haqq-o-sadaqat ki sunai
ab yaad kise phir rasan-o-dar kare hai

'azad' har ek gam pe wo ghamza-e-ghammaz
zarron ko sitare dam-e-raftar kare hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close