wo chashm mail-e-lutf-o-karam hui bhi to kab

wo chashm mail-e-lutf-o-karam hui bhi to kab
ujad chuka hai dil apni khushi mili bhi to kab

utar chuka hai rag-e-jaan mein zahr-e-tanhai
use bhi fursat-e-chaaragari mili bhi to kab

hain ta-ba-hadd-e-nazar silsile sarabon ke
shadid-tar hua ehsas-e-tishnagi bhi to kab

sumum-e-gham ke asar se jhulas chuka hai badan
dayar-e-jaan mein hawa-e-tarab chali bhi to kab

ukhadti sansen aur is rukh ki did ai 'abid'
nazar ki pyas bujhi to magar bujhi bhi to kab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close