wo dekhne mujhe aana to chahta hoga

wo dekhne mujhe aana to chahta hoga
magar zamane ki baaton se dar gaya hoga

use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka
ye shauq auron ko shayad bura laga hoga

kabhi na hadd-e-adab se badhe the dida o dil
wo mujh se kis liye kisi baat par khafa hoga

mujhe guman hai ye bhi yaqin ki had tak
kisi se bhi na wo meri tarah mila hoga

kabhi kabhi to sitaron ki chhanw mein wo bhi
mere khayal mein kuchh der jagta hoga

wo us ka sada o masum walehana-pan
kisi bhi jug mein koi dewta bhi kya hoga

nahin wo aaya to 'jalib' gila na kar us ka
na-jaane kya use darpesh masala hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close