wo dilkashi teri kya husn-e-yar baqi hai

wo dilkashi teri kya husn-e-yar baqi hai
shabab baqi na us ka khumar baqi hai

nigah-e-shauq ne aankhon se un ke pi thi kabhi
us ek jam ka ab tak khumar baqi hai

tumhaare wada-e-farda ka hai yaqin ab tak
tamam umr kati intizar baqi hai

tasalliyon mein mitaya shuur-e-gham tum ne
tumhin batao kahan eatibar baqi hai

mizaj-e-momin-e-millat samajh mein aaya hai
jahan mein tazkira-e-zulfiqar baqi hai

rahega taj saron par ya sar katen us ja
is ek azm pe dar-o-madar baqi hai

badal saka na mizaj-e-junun abhi main ne
'sharar' zehn pe kuchh intizar baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close