wo dost hai aur bura nahin hai bas mere mizaj ka nahin hai dil mera bhi kab tha aisa sada wo aankh bhi be-khata nahin hai us shakhs ne pher li hon aankhen aisa to kabhi hua nahin hai ek bar mohabbaton ka baadal barsa hai to phir ruka nahin hai ye jaan se guzarti saaten hain ye dard ka marhala nahin hai kuchh zakhm wahan lage hain lekin wo shahr to bewafa nahin hai jo meri talash mein hai ab tak main hun koi dusra nahin hai is ahd ki hai ye ek zarurat hijrat koi saneha nahin hai