wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi hona tha sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha bagula ban ke samundar mein khak udana thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi hona tha mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha kashish thi phul si is mein to la-muhaala mujhe asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha saza to milna thi mujh ko barahna lafzon ki zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha safar ka bojh uthane se peshtar 'sajid' mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha