wo ek shakhs jo manzil bhi rahguzar bhi hai nishat-o-kaif mein duba hai gham-gusar bhi hai majaz aur haqiqat ka aaina ban kar hamari zat yahan lail bhi nahaar bhi hai tumhaare kamre mein gulshan ka rang-rup mila yahan to mez pe phulon ke sath khar bhi hai tumhaari zat se is dil ka rabta bhi nahin tumhaari yaad mein dil mera be-qarar bhi hai fasil-e-ab pe thahri hai chandni ki dulhan shafaq ke shane pe zulfon ka aabshaar bhi hai 'asad' wo kaisa tilismi wajud rakhta hai usi se bughz-o-adawat usi se pyar bhi hai