wo gham jo hasil-e-hasti hai mil chuka ki nahin phir aur kaun sa hai lutf dil-kusha ki nahin mizaj-e-dard-e-tamanna badal gaya ki nahin wafa ne ranj ko rahat bana liya ki nahin jo dil mein todti rahti thi neshtar har dam hui wo kawish-e-jaan ka wo jaan-faza ki nahin jala diya tha lahu jis ne dil ki rag rag ka wo soz-e-atish-e-gham ras aa gaya ki nahin nazar nazar pe hai paiham tajalliyon ka nuzul talash-e-husn ka haq ho gaya ada ki nahin zahe surur khalish ye khabar nahin dil ko jo chubh gaya tha wo kanta nikal gaya ki nahin karishma apni tawajjoh ka tum ne dekh liya thahar gai meri umr-e-gurez-pa ki nahin zara batao agar tum ne sab ki baat suni mere sukut ne bhi tum se kuchh kaha ki nahin kahan ye hosh nashat-e-talab mein ai 'kaukab' na-gufta harf-e-talab sun liya gaya ki nahin