wo hasin jalwa-ba-dosh hai koi parda hai na naqab hai tera parda hai teri pardagi ye hijab tera hijab hai teri chashm-e-mast ke daur mein koi jam jam-e-sharab hai jo hai ahl-e-did wo mast hai jo hai ahl-e-dil wo kharab hai jo taqaza tha to wo tur tha jo talab thi to wo zuhur tha na taqaza hai na talab hai ab na sawal hai na jawab hai ise sath le chalo rahbaro ki zara nai hai rah-e-adam ye sawar-e-umr-e-rawan mera sar-e-rah pa-ba-rikab hai use khel samjha to bach raha na samajh saka to ulajh gaya use aankh khol ke dekhna teri zindagi ka ye khwab hai na hai khauf ahl-e-kitab se na hiras ahl-e-hisab se wo karam hai mere karim ka na hisab hai na kitab hai kisi ilm se na ise gharaz na kisi adab se hai wasta tera dard jis ka hisab hai tera husn jis ki kitab hai dil-e-pur-hawas tujhe sair-e-hasti-e-be-sukun ki majal kya ki misal-e-mauj-e-rawan hai ye teri chashm chashm-e-habab hai na ulajh numaish-e-dahr ke kabhi dam-e-naqsh-o-nigar mein jo nigar hai wo parida hai jo hai naqsh naqsh-bar-ab hai wahi nur jis se hain nur nur hazaron nayyar-o-mehr-o-mah jo usi ke sae mein aa gaya faqat us ko did ki tab hai ba-khulus 'aiman'-e-be-nawa usi aastan pe jabin jhuka koi be-murad nahin gaya shah-e-do-jahan ki janab hai