wo hazir ho ki ghaeb ho nihan yun bhi hai aur yun bhi sarasar raaz raaz-e-kun-fakan yun bhi hai aur yun bhi tahayyur hai huzuri mein to betabi hai duri mein musibat mein ye jaan-e-na-tawan yun bhi hai aur yun bhi tamanna ki tarah tark-e-tamanna bhi musibat hai ye duniya ek maqam-e-imtihan yun bhi hai aur yun bhi wo aa kar bhi rulate hain wo ja kar bhi rulate hain dil-e-nakaam mashghul-e-fughan yun bhi hai aur yun bhi uthaya naz-e-rahbar bhi junun bhi aazma dekha magar barham nizam-e-karwan yun bhi hai aur yun bhi jo dil mein dagh raushan hain to ashk-e-khun hai aankhon mein ye manzar-e-gulsitan dar-gulsitan yun bhi hai aur yun bhi rahi jo barq se mahfuz pamal-e-khizan hogi gham-e-anjam-e-shakh-e-ashiyan yun bhi hai aur yun bhi faqat kahne ko to hai kaamyabi aur nakaami mohabbat fatah-e-kaun-o-makan yun bhi hai aur yun bhi sitam ho ya karam donon ka hum par shukr wajib hai jo apna mehrban hai mehrban yun bhi hai aur yun bhi jo sun sakte ho tum sun lo nahin taqat to hum chup hain hamein manzur apna imtihan yun bhi hai aur yun bhi umid-e-silsila-dar-silsila lutf-o-dawam is mein bahaar-e-umr-e-fani jawedan yun bhi hai aur yun bhi ghata sawan ki aur ai 'arsh' ilhamat ki barish zamin par aaj faiz-e-asman yun bhi hai aur yun bhi