wo hum nahin jinhen sahna ye jabr aa jata teri judai mein kis tarah sabr aa jata fasilen tod na dete jo ab ke ahl-e-qafas tu aur tarah ka elan-e-jabr aa jata wo fasla tha dua aur mustajabi mein ki dhup mangne jate to abr aa jata wo mujh ko chhod ke jis aadmi ke pas gaya barabari ka bhi hota to sabr aa jata wazir o shah bhi khas-khanon se nikal aate agar guman mein angar-e-qabr aa jata