wo is andaz ki mujh se mohabbat chahta hai mere har khwab par apni hukumat chahta hai mere har lafz mein jo bolta hai mujh se badh kar mere har lafz ki mujh se wazahat chahta hai bahana chahiye us ko bhi ab tark-e-wafa ka main khud us se karun koi shikayat chahta hai use malum hai mere paron mein dam nahin hai mera sayyaad ab mujh se baghawat chahta hai wo kahta hai ki main us ki zarurat ban chuki hun to goya wo mujhe hasb-e-zarurat chahta hai kabhi us ke sawalon se mujhe lagta hai aise ki jaise wo khuda hai aur qayamat chahta hai use malum hai main ne hamesha sach likha hai wo phir bhi jhut ki mujh se himayat chahta hai