wo is tarah se meri zindagi ke sath rahe ki jaise phul chaman mein kali ke sath rahe ye hadsat-e-alam kab kisi ke sath rahe rahe to sirf meri zindagi ke sath rahe har ek lamha-e-gham phir sukun mein dhal jae ye aadmi jo agar aadmi ke sath rahe badi khushi hai hamein apni sada-lauhi ki fareb jis ne diya hum usi ke sath rahe jinhen hum apna samajhte rahe zamane mein fareb ban ke wahi zindagi ke sath rahe ab is tarah mere ahbab mujh se milte hain ki jaise ajnabi ek ajnabi ke sath rahe panah pa na sake daman-e-mohabbat mein wo hadse jo meri zindagi ke sath rahe ek aisa waqt bhi aaya hai zindagi mein 'kamal' zaban rakhte hue khamushi ke sath rahe