wo itna kam se kam to mehrban hai mera hi nam zeb-e-dastan hai saliqe se jo karta dushmani bhi sitamgar ab koi aisa kahan hai kahani shauq ki hai mere itni ki ek mitti ka pani par makan hai mujhe ab kya kisi shai ki zarurat tera gham jab mata-e-jawedan hai bhala kaise yaqin is par karun main mera mahbub mujh se bad-guman hai kahani facebook par hai raqam ab mohabbat apni mashhur-e-jahan hai mujhe 'khushtar' watan apna hai pyara zamin par khuld ye hindostan hai