wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka

wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
aakhir yahi hua ki chhupaya na ja saka

aate hi un ke dasht o jabal muskura uthe
aise mein apna haal sunaya na ja saka

gardun bhi iztirab-e-azizan se hil gaya
soe kuchh aise hum ki jagaya na ja saka

daman ke dagh ashk-e-nadamat ne dho diye
lekin ye dil ka dagh mitaya na ja saka

kitni ghataen aain baras kar guzar gain
shola hamare dil ka bujhaya na ja saka

baaten hazar yun to harifon ki chhup gain
'wasif' ka raaz tha jo chhupaya na ja saka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close