wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua bichhad gaya to bhulane ka hausla na hua idhar udhar ke sunae hazar afsane dilon ki baat sunane ka hausla na hua ye aur baat ki ba-hausla hun main phir bhi nae charag jalane ka hausla na hua khalij kitne zamanon ki kar gaya paida wo ek qadam ki uthane ka hausla na hua kitab-e-zehn ka koi waraq bhi sada nahin likhe huruf mitane ka hausla na hua guzar gai thi shab-e-hijr hijr mein 'uzma' charag phir bhi bujhane ka hausla na hua