wo jise dida-wari kahte hain

wo jise dida-wari kahte hain
hum use be-basari kahte hain

nam us ka hai agar ba-khabari
phir kise be-khabari kahte hain

ye agar lutf-o-karam hai to kise
jaur-o-be-dad-gari kahte hain

kya isi kar-e-nazar-bandi ko
husn ki jalwagari kahte hain

gul ke auraq pe kanton ka guman
kya ise khush-nazari kahte hain

bahr-e-bimar dawa hai na dua
kya ise chaaragari kahte hain

kam kisi ko ye khabar hai ki kise
ranj-e-be-baal-o-pari kahte hain

yas-o-hirman ko ba-alfaz-e-digar
aah ki be-asari kahte hain

nam hai wo bhi jigar-dari ka
hum jise be-jigari kahte hain

aap khud bhi to gul-andamon ko
hur kahte hain pari kahte hain

fasl-e-gul hi to hai wo hum jis ko
mausam-e-jama-dari kahte hain

ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain

muft ki dard-sari ko hum bhi
muft ki dard-sari kahte hain

aap se hum se bani hai na bane
aap khushki ko tari kahte hain

kya koi baat kabhi ahl-e-junun
az-rah-e-nam-wari kahte hain

hum pe ye bhi hai ek ilzam ki hum
dastan dard-bhari kahte hain

koi khush ho ki khafa ho 'hairat'
hum to har baat khari kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close