wo jo dariya ko kisi roz nazar aate the mauj tham jati thi pani mein bhanwar aate the shakh-dar-shakh jahan hijr khula rahta tha zakhm-dar-zakhm usi rah mein shajar aate the rup bahrup mein dhalte hue din-bhar sae sahn-e-tanhai mein har sham utar aate the koi manzil sar-e-manzil se bichhad jati thi fasle roz nae le ke safar aate the kaun idrak ki sarhad se guzarne wale han wahi jo ki ba-andaz-e-digar aate the lams-e-jaan-bakhsh ka eajaz nahin to kya tha phul khilte the darakhton pe samar aate the kitne inkar mayyat mein raha karte the han meri samt wo 'iqrar' agar aate the