wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha mere andar basne wala saya tha wo dukh bhi kyun hum ko tanha chhod gae kya kya chhod ke hum ne jinhen apnaya tha khud tum ne darwaze band rakkhe warna main ek taza hawa ka jhonka laya tha meri ek aawaz se sari tut gai wo diwaren jin par tu itraya tha viran dil mein gham ke prit bhatakte the meri chup par kisi sada ka saya tha is mein ek janam-bhar ke dukh simte the wo aansu jo palkon par lahraya tha