wo kahte hain ki hai tute hue dil par karam mera magar min-jumla-e-adab-e-gham-khwari hai gham mera wahan sajde se ab tak qudsiyon ke sar nahin uthte pada tha jis jagah rah-e-mohabbat mein qadam mera zahe taqdir-e-nakaami ki teri maslahat thahri teri marzi se wabasta hua allah re gham mera na jaanen is safar ki manzil-e-awwal kahan hogi fana ki aakhiri manzil pe hai pahla qadam mera mere josh-e-talab ki shan-e-istighna koi dekhe ki main rahbar se aage mujh se aage hai qadam mera main wo aazurda-e-wahm-e-musarrat hun maaz-allah ki gham ko gham samajhne se bhi ghabraata hai dam mera ye mahrum-e-tabassum mir-e-saman-e-tabassum hai teri bazm-e-tarab mein mo'tabar hai ashk-e-gham mera ab aage kis se likkha jae aaghaz-e-mohabbat par fasana khatm kar dete hain arbab-e-qalam mera meri aawargi har qaid se be-zar hai shayad ki ab us ki gali mein bhi guzar hota hai kam mera baqa kahte hain jis ko wo mera ehsan hai 'fani' wo hadis hun ki duniya-e-qadam bharti hai dam mera