wo kash waqt ke pahre ko tod kar aate jo mahw-e-khwab hain un ko jhinjhod kar aate na uthti koi nigah-e-ghalat sar-e-mahfil wo apne jalwe ko ghar apne chhod kar aate udas aankhon ko dekha to ye khayal aaya chaman ke phulon se shabnam nichod kar aate asa-e-musa kabhi hath lag gaya hota firaun-e-waqt ka sar hum bhi phod kar aate agar thi chehre pe raunaq ki aarzu un ko musibaton ki kalai marod kar aate udhar na niklenge wo nazar-e-bad ka khadsha hai khabar ye hoti to hum aankhen phod kar aate suna ki aaj bhi danishwaron mein khub machi 'asar' bhi aate to himmat bator kar aate