wo KHud KHabar hai magar apni kuchh KHabar bhi nahin

wo khud khabar hai magar apni kuchh khabar bhi nahin
sitam-zarif ko ehsas-e-khair-o-shar bhi nahin

yahan to sab ko ijazat hai aane jaane ki
hamara dil to wo ghar hai ki jis mein dar hi nahin

khabar yahi thi ki wo bad-dimagh hai shayad
jo ja ke dekha ki kandhe pe us ke sar bhi nahin

bahaar dhundne nikle the kis jagah pahunche
kahan ke phul kahan phal yahan shajar bhi nahin

jahan ka dard chhupa lete wa-e-majburi
hamare pas jo hota tha wo jigar bhi nahin

faqir-e-ishq ko chahat ki bhik kya milti
ki shahr-e-zar mein sakhi-data ek bashar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close