wo kisi se tum ko jo rabt tha tumhein yaad ho ki na yaad ho wo kisi pe tha koi mubtila tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi hum mein tum mein bhi pyar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi hum bhi tum bhi the ek-ja tumhein yaad ho ki na yaad ho wo banana chehra itab ka wo na dena munh se jawab ka wo kisi ki minnat o iltija tumhein yaad ho ki na yaad ho tumhein jis ki chah pe naz tha jo tumhaara mahram-e-raaz tha main wahi hun aashiq-e-ba-wafa tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi hum mein tum mein bhi saz the kabhi hum bhi waqf-e-niyaz the hamein yaad tha so jata diya tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi bolna wo khafa khafa kabhi baithna wo juda juda wo zamana naz o niyaz ka tumhein yaad ho ki na yaad ho abhi thode din ka hai tazkira ki raqib kahte the barmala mere aage tum ko bura-bhala tumhein yaad ho ki na yaad ho kabhi hans ke munh ko chhupa liya kabhi muskura ke dikha diya kabhi shokhiyan thin kabhi haya tumhein yaad ho ki na yaad ho jo bana hai aarif-e-ba-khuda ye wahi 'zahir' hai be-haya wo jo rind-e-khana-badosh tha tumhein yaad ho ki na yaad ho