wo le ke hausla-e-azm-e-be-panah chale

wo le ke hausla-e-azm-e-be-panah chale
jo log hanste hue su-e-qatl-gah chale

gharib nikle rajaz-khwan to ahl-e-dil ne kaha
karo salam ki himmat ke baadshah chale

fareb khae hue zulm o jaur insan ke
khuda ki khas adalat ke dad-khwah chale

na bim-e-marg na khauf-e-ajal na ranj koi
khushi se karte hue raqs kaj-kulah chale

salib o dar ki sab rahmaton ke pesh-e-nazar
wo tabarruk karte hue hirs-e-izz-o-jah chale

zamana chikh utha sab ki aankh bhar aai
barae qatl jo maqtal ko be-gunah chale

zamin walo utho uth ke in ko sajda karo
wo le ke parcham-e-nau 'arsh' pa-e-gah chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close